friendship smshindi sms



Posts tagged ‘Urdu Poetry’

Poetry by PARVEEN SHAKIR

Main Apni Dosti Ko Sheher Mein Ruswa Nahi Krti,

.Mohabbat Main Bhi Karti Hoon Magar Churcha Nahi Krti,

Jo Mujh Se Milny AaJaye Main Us Ki Dil Se Khadim Hoon,

Jo Utth K Jana Chahay Main Usy Roka Nahi Krti,

Jisy Main Chhor Deti Hoon Usy Phir Bhool Jati Hoon,

Phir Us Hasti Ki Janib Main Kabhi Dekha Nahi Krti,

Tera israar Sarr Aankhon Pe K Tum Ko Bhool Jaaoon Main,

Main Koshish Kar K Dekhoon gi Magar waada nahi Krti.

————

Urdu Ghazals from Best Free SMS

Urdu Poetry

Pyaar ka meetha “Ehsaas” dilane laga hai tu

Ab to mujh se mujhi ko churane laga hai tu

Teri chahtooN ka chaaya hai saroor is qadar

Har pal har jagah nazar aane laga hai tu

Veeraan thi yeh zindgi tere aane se pehle

Khushiyoon ke sapne mujhe dhikane laga hai tu

Har pal mujhe hota hai bas tera hi “Ehsaas”

Is qadar meri saansoN mein samaane laga hai tu

Ek pal ki bhi doori seh nahi paata hoon main

Hoke juda kyun mujhe azmaane laga hai tu

Raah chalte hue aksar hota hai yeh gumaan

Ke ban saaya saath mere aane laga hai tu

Naam koi bhi looN to naam aaye tera labooN pe

Ban ke jadu meri rooh mein samaane laga hai tu

Teri yadoon se hi aksar hota hai dil munawwar mera

Ghul ke saath lahoo ke nas nas mein samaane laga hai tu

Jaane kaun si dor hai teri aur kheench le jaati hai

Mujh ko apna deewana banaane laga hai tu

Tasvvur mein aksar hota hai yeh mehsoos mujhey

Chorr k duniya meri baNhooN mein samaane laga hai tu

Yeh to bata ke kya naam dooN iss deewangi ko

Bechain kar ke har lamha mujhey tadpaane laga hai tu

Tere khayalooN se mehekne lagti hai zindagi meri

Mere zehn-o-dil pe is qadar chhaane laga hai tu

Yeh masoomiyat yeh bholapan yeh saadgi teri

Mujh ko har adaa se ab satane laga hai tu

Zeest ke rahooN mein dhoop thi har taraf

Apney pyaar ki barish ko barsane laga hai tu

Kya is baat ka tujhey “Ehsaas” hai “Jaan”

Mere har sher mein har Gazal mein aane laga hai tu

———–

Ghazal SMS from Best Free SMS

Kabhi kabhi pathar k
takrane se ati nae kharash Mohsin
….
Kabhi ek zara c bat
se Insan bikhar jata ha
—-
Sad Urdu Poetry From Best Free SMS

Bikri sham ki parchaiyaan muje day do

tum apni sham ki tanhaye muje da do

main tum ko yaad karoon or tum chaly aao

tum apny pyar ki suchaiyaan muje dy do

mai doob jaoon tumhari udas suchyiaan muje da do

————

Tanhai Text Message

Urdu Ghazal

Kahan mumkin tha main dil se teri yadein mitta deta,

Bhala kasy main ji sakta agr tujh ko bhula deta,

Teri ruswai ke dar se labon ko see liya warna…

Tere shehr-e-munafiq ki main bunyden hilla deta,

Kia tark-e-wafa us nain to hogi us ki majbori,

Jisay barson Duaen den usay kiya bud-dua deta

———-

Urdu Poetry From Best Free SMS

Urdu Poetry

Zra c raat Dhal jae

To shyd Neend A jae,

Zra sa Dil behal jae to shyd neend a jae,

Abi to krb hai,

becheni hai,

beqrari hai,

tabiyat kuch sambhal jae to shyd neend a jae,

Abi to nrm jhonkon mein chupay hain teer yadoon k,

hawa ka rukh badal jae to shyd neend a jae,

ye hansta muskrata qafla chan aur sitaro ka,

zra agay nikal jae to shyed neend a jae,

ye tufan ansuon ka jo umad aya hai palkoon tk

kisi surat ye tal jae to syhed neend a jae…

———-

Urdu Ghazals by Best Free SMS

Khwab sare,
Khyal sare,
Haqiqaton ka
libada orhay,
Tumhari Hasti
sanwar jain,
Chand suraj
ye sare taare,
Charagh jitne
bhi jal rahe hain,
Tumhare chehray ka
rang dekhein to haar jain,
Behti nadya,
Charhte darya,
Ye gehra sagar,
jheel jahrnay ye
aabsharein,
Apna jeewan
tumhari aankhon pe
waar jain,
Rang, khushbu,
gulab sare,
Muhabatton kay
nisaab sare,
Sab tumhari
balayein le lein,
Nazar tumhari
utaar jain….

——————

Best Collection of Urdu Love Ghazals on Best Free SMS.Com