friendship smshindi sms



Posts tagged ‘Ghazal Text Messages’

Kisi ki aankh se sapne chura kar kuch nahi milta

Kisi ki aankh se sapne chura kar kuch nahi milta

Mandiron se chiragon ko bujha kar kuch nahi milta

Koi aik adh sapna ho to phir accha b lagta hai

Hazaron khwab ankhon mei saja kar kuch nahi milta

Yeh accha hai ke aapas ke bharam na tootne payein

Kabhi kabhi doston ko azma kar kuch nahi milta

Amal ki sookhti rag mei zara sa khoon shamil kar

Mere humdam faqt batein bana kar kuch nahi milta

Mujhe aksar sitaron se yeh awaz aati hai

Kisike hijar mei neendein ganwa kar kuch nahi milta

Jiggr ho jayega chalni yeh ankhein khoon royengi

Ae dil Be’faiz logon se nibah kar kuch nahi milta

———–

Ghazal SMS From Best Free SMS

Suno tum yad atay ho aur hum soya nahin karte

Safar tanha nahin karte
Suno aesa nahin karte

Chalo tum raz ho apna
Tumhain afsha nahin karte

Suno jis ka muqaddar ho ossey chora nahi karte
Jisay shafaf rakhhna ho ussey maila nahin karte

Jo bas jata hai dharkan main ussey bhula nahin karte
Kisi ko dil dete waqt boht socha nahin kartey

Jo pehlay sey tanha ho ussey tanha nahin karte
Suno yadain sataingi magar roya nahin karte

Suno tum yad atay ho aur hum soya nahin karte

———–
Ghazal SMS From Best Free SMS

Urdu Poetry

Pyaar ka meetha “Ehsaas” dilane laga hai tu

Ab to mujh se mujhi ko churane laga hai tu

Teri chahtooN ka chaaya hai saroor is qadar

Har pal har jagah nazar aane laga hai tu

Veeraan thi yeh zindgi tere aane se pehle

Khushiyoon ke sapne mujhe dhikane laga hai tu

Har pal mujhe hota hai bas tera hi “Ehsaas”

Is qadar meri saansoN mein samaane laga hai tu

Ek pal ki bhi doori seh nahi paata hoon main

Hoke juda kyun mujhe azmaane laga hai tu

Raah chalte hue aksar hota hai yeh gumaan

Ke ban saaya saath mere aane laga hai tu

Naam koi bhi looN to naam aaye tera labooN pe

Ban ke jadu meri rooh mein samaane laga hai tu

Teri yadoon se hi aksar hota hai dil munawwar mera

Ghul ke saath lahoo ke nas nas mein samaane laga hai tu

Jaane kaun si dor hai teri aur kheench le jaati hai

Mujh ko apna deewana banaane laga hai tu

Tasvvur mein aksar hota hai yeh mehsoos mujhey

Chorr k duniya meri baNhooN mein samaane laga hai tu

Yeh to bata ke kya naam dooN iss deewangi ko

Bechain kar ke har lamha mujhey tadpaane laga hai tu

Tere khayalooN se mehekne lagti hai zindagi meri

Mere zehn-o-dil pe is qadar chhaane laga hai tu

Yeh masoomiyat yeh bholapan yeh saadgi teri

Mujh ko har adaa se ab satane laga hai tu

Zeest ke rahooN mein dhoop thi har taraf

Apney pyaar ki barish ko barsane laga hai tu

Kya is baat ka tujhey “Ehsaas” hai “Jaan”

Mere har sher mein har Gazal mein aane laga hai tu

———–

Ghazal SMS from Best Free SMS

Q Bhool Gaye Hum Ko Rishta To Purana Tha?

Ek Ye Bhi Zmana Hai Ik Woh Bhi Zamana Tha…

Rngeen Fizayen Thi Shokh Adaen Thi…

Jzbon Ki Jwani Thi Mosam Bhi Sohana Tha…

Seeny Se Lgaya Tha Ankhon Pe Bithaya Tha!

Maloom Na Tha Tm Ne Yun Chor K Jana Tha!

Q Hum Se Khafa Ho Tm Q Hum Se Juda Ho Tum?

Kya Jurm Hua Hum Se Itna To Batana Tha…

Nafrat Se Bhari Nazrain Ik Jaan Hi Le Bethi…

Tukre B Kiye Dil K Kya Khoob Nishana Tha!!
———–
Ghazal SMS From Best Free SMS

Kash banane wale ne mjhe kitab bnaya hota.
Woh parhty parhty so jati mujhy seenay say lagaya hota,

Main ous k gum main rota or rota he jata.
Os nay chupky say mujhy senay say lgaya hota.

Os ko dastaan suna suna k thak sa giya.
Kash uss nay b mujhy hal-a-dil sunya hota.

Main oss ki khatr trpta rha sham o sehar ~Mohsin~
Arman na hota gar os ny Ek anso he bhaya hota.
 
———–
Ghazal SMS from Best Free SMS