Superb Poetry Messages Urdu Poetry Collection
Aye Chaand ki kirno jao na,
Tum us ko Choo kar aao na,
Wo kab kab kya kya karta hai,
Wo jagta hai ya sota hai,
Wo kis se batein karta hai,
Wo shaam ko kesa lagta hai,
Wo raat ko kesa dikhta hai,
Jab soye kesa lagta hai,
Jab jagay kesa dikhta hai,
Tum chupkay chupkay jao na
Tu us Chaand ko choo kar ao na…
—————-
“ADHURA PYAR”
Chalo tum sath mat dena,
Mujhe beshak bhula dena,
Naye sapne saja lena,
Naye rishte bana lena,
Bhula dena sabhi waday,
Sabhi qasmain sabhi natay,
Tumhain jana! ijazat hai,
Jo dil chahay wo sab karna,
Magar tum ab kisi se bhi
“Adhura Pyar” mat karna…
——————
Best Collection of Urdu Poetry Messages on Best Free SMS.Com