Heart touching Shayeri love Text Messages
Zindagi ka sochta hun na zmane ka sochta hun,
Me to bas usay apna bnane ka sochta hun,
Us kay ruth jane kay andaaz ki qasam,
Wo ruth jaye to usay mnane ka sochta hun,
Us ne na ki wafa to koi gila nahi,
Me us say wafain nibhane ka sochta hun,
Wo muj ko rulaye to koi baat nahi,
Me ro kar bhi us ko hansane ka sochta hun.
——————
Un k andaaz e karam un pe wo ana dil ka,
haye wo waqt, wo baten, wo zamana dil ka,
na suna tawajo se us ne fasana dil ka,
umar guzri par dard na jana dil ka,
dil lagi, dil ki lagi ban k mita deti hay,
rog dishman ko bhi ya rub na lgana dil ka,
wo bhi apne na hue dil bhi gya hathon se,
aise ane se to behtar hai na ana dil ka,
un ki mehfil me un k tabassum ki qasam,
dekhte reh gaye hum hath se jana dil ka.
——————-
Best Collection of Poetry Messages on Best Free SMS.Com


Leave a Reply