Allah ko Rab Maan K Dekh
MUJHY Rab Maan K Dekh
Allah says:
MUJHY Rab Maan Kar To Dekh
Subse Beniyaz Na Kar Don to Kehna
Mere Khauf Se Aansu Baha Kar to Dekh
Maghfirat k Darya Na Baha Don to Kehna
Wafa ki Laaj Nibha Kar to Dekh
Ataa ki Hadd Na Kar Don To Kehna
MERE Naam ki Tazeem Kar K to Dekh
Takreem ki Inteha Na Kar Don to Kehna
Apni Hasti ko Fana Kar k to Dekh
Jaam-e-Baqa se Sarfaraz na Kar Don to Kehna
Bil Aakhir MERA ho K to Dekh
Har Kisi ko Tera Na Kar Don to Kehna.
———–
Islamic SMS From Best Free SMS