Romantic Urdu Ghazals SMS Messages
Posted in Ghazal Sms on May 15th, 2011 by Kelly Brook – Comments OffYe sheeshon k sapnay, Ye dhagon k rishtay,
Kisay hy khabar k kahan toot jayen,
Mohabbat k darya mein tinkay wafa k,
Kisay hy khabar k kahan doob jayen,
Lagaye hain hum ne bhi khushbu k pauday,
Magar kia bharosa yahan barishon ka,
Ye mumkin hy pauday kahin sookh jayen,
Jinhien dil sy chaha, Jinhein dil se pooja,
Nazar aa rahay hein wohi ajnabi se,
Suno dil k mazboot rehna,
Kya khabar lene waly kahan bhool jayen………
————————–
Wo aksar fursat mein 1 kaam kartay hein,
Bana k aaina humain salam kartay hein,
Uski masoom adaayen usay ruswa na kar dein,
Wo likh k darakhton pe mera naam aam kartay hein,
Us k maathay se ubharta hai subah ka noor,
Aur andhere uski zulfon mein aaram karte hain,
Aankhon se waardatein karna hai paisha unka,
Dilon ki chorian wo sar e aam kartay hein,
Zamana tera hi talabgaar sahi Sahar,
Kuch hussn waalay humara bhi ehtram kartay hein………..
——————————–
Best Collection of Ghazal Sms by BestFreeSMS.Com