Sad Love SMS Messages
Posted in Sad Sms on May 29th, 2011 by Kelly Brook – Comments OffJin k humsafar rooth jaya kartay hain,
Wo chain se kab soya kartay hain,
Sunatay nhi kisi ko dukh apna,
Bas akelay me chup k roya kartay hain,
Bari khoob ada hai ye Ehl – e – Wafa ki,
aankhon me nami or honton se muskuraya kartay hain,
Bhalay hi hazaron shikway hon mehboob se,
Wo bas haal puch lay to sab bhool jaya kartay hain,
Bari ajeeb hai duniya Ehl – e – Dard ki Faiz,
Tanhai me aksar mehfilon ko sajaya kartay hain,
——————————–
Band dareechay, sooni galiyan, undekhay unjanay log,
Kis nagri mein aa niklay hain, Pagal hum deewanay log,
Ik hum hi nawaqif thehray roop nagar ki galiyon se,
Bhais badal kar milnay walay sab janay pehchanay log,
Shikwa kya or Shikayat kesi? aakhir kuch buniyad to hai,
Tum per mera haq hi kya hai? Hum thehray beganay log,
Shehar kahan khali rehta hai, ye dariya har dam behta hai,
aur buhat se mil jayen gay, tum ko hum jese deewanay log….
——————————
Best Collection of Sad Sms by BestFreeSMS.Com